Monday, 14 May 2018



Sher -o - Shayari ....from here, there and everywhere....



      Tu thak ke na baith, abhi teri udaan hai baki, sirf zameen hui hai puri lekin pura aasma hai baki

*

      Mana ki teri deed ke kaabil nahin hain hum
 tu mera shauk dekh, intezaar dekh

 *

      Muqqadar ka toh mil hi jaayega aye khuda
woh ata kar jo kismat mein na ho

*
  
      Mat guman kar apni haathon ki lakeeron par
kismat unki bhi hoti hai jinke haath nahi hote
       
*
     Roz kehta hoon bhool jaon tujhe
   roz ye baat bhool jaata hoon

               
*
    Ek adhura waada tera, ek shikasta (haara hua) dil
lut bhi gaye to sheher e wafa mein, daulat kitni hai


*

   Kuch is tarah se humne apni zindagi ko aasaan kiya
 Kuch se maafi mangi, Kuch ko maaf Kiya 


*
Jis afsaane ko anjaam tak laana na ho mumkin
use ek khoobsurat modh dekar chodhna behtar...

*

Apni hatheli mein chupakar kissi jugnu ki tarah...hum tere naam ko chupke se padha karta hain

*

Shikwe toh bahut hain magar shikaayat nahin kar sakte, mere honton ko ijaazat nahi tere khilaaf bolne ki

*

Zindagi bhar apni galti pe rote rahe, 
daag chehre pe tha aur hum aaina saaf karte rahe

*

Tum kya karoge sunkar mujhse meri kahani
belutf zindagi ke kisse hain pheekay phaakey

*

Khwahishon ke kaafile bhi bade ajeeb hote hain
Ye guzarte wahin se hain jahan raaste nahi hote
Ghazab ka hausla diya hai khuda ne hum insaano ko
Waakif hum agle pal se nahi
Aur vaade zindagi bhar ke hote hain